kabhi hasta hua bachpan, kabhi marta hua budhapa hai ye zindagi
kabhi khilkhilati hasi, kabhi ek mayus chehra hai ye zindagi
kabhi kisi se dosti, kabhi kisi se takrar hai ye zindagi
kabhi kisi ki chahat, kabhi kisi ka pyar hai ye zindagi
kabhi apno se ladai, kabhi apno ka pyar hai ye zindagi
kabhi ek umeed, kabhi ek har hai ye zindagi
kabhi ek kurbani, kabhi ek jeet hai ye zindaagi
fir bhi ek sawaal aakhir kya hai ye zindagi
No comments:
Post a Comment