Ek dariya h intezar ka
smandar hai teri yaad ka
bikhri bifri si hai ye zindagi
kuch hi waqt hai tere sath ka
mausam bhi hai badla badla
hawa ne bhi rukh h badla
barissh jo hui hai ye cham cham
ek aur pitara khula teri yaad ka
jo jata hu mai un raho se
saamna hota hai teri yadon sse
tasveere badalti hain kuch aise
jaisse manjar badalta hai parde pe
aaj bhi waqt jata hai teri yaad mei
tujhse fir milne ki fariyad mei
zindagi ye jaa rhi h har pal mei
tere aks ko pane ki koshish mei
aaj bhi intezar hai us ssath ka
tere sang bitaye lamhat ka
tujhse kahi us bhuli bisri baat ka
tujhse judi is zindagi ki aahat ka
Ek dariya h intezar ka
smandar hai teri yaad ka
bikhri bifri si hai ye zindagi
kuch hi waqt hai tere sath ka