Khwahiso ka manjar hai
Jo samne mujhko dikhta hai
Uski taraf jo bdta hu
Wo manjar palat sa jata hai
Jo dekhu mai un khwahisho ko
Mujhe milta na kuch kehne ko
Bas do labz hi to hai mere pas
Aur kuch nahi tumhe btane ko
Tasveer si bhi dikhti h kabhi
Dundhle parde par bnti h kabhi
Par rang na dikh pta koi
Umeed hai rangeen hogi kabhi
Ye kaisa manjar banta hai
Jo har pal mujhse kehta hai
Yu to saamne wo rehta hai
Fir b dhundhla sa dikhta hai
Khwahiso ka manjar hai
Jo samne mujhko dikhta hai
Uski taraf jo bdta hu
Wo manjar palat sa jata hai
No comments:
Post a Comment