choo kar gaya wo lamha
is dil ko kuch is tarah
aankho mai thi khushi
kuch pani bhi jhalak pada
umeed to thi is pal ki
ki milega ye kisi tarah
ab jo chua hai isne
mushkil yakeen karna hua
jab se chua hai isne
aasma bhi hai chamak rha
samaa lage hai pyara itna
khile huye kisi phool ki tarah
umeed to bas yehi hai ki
hamesha rahe ye isi tarah
na jaye kahin chhod kar
sath nibhaye sathi ki tarah
choo kar gaya wo lamha
is dil ko kuch is tarah
aankho mai thi khushi
kuch pani bhi jhalak pada
No comments:
Post a Comment